Maa Shailputri Navratri Day 1
Maa Shailputri๐๐ป๐ฉ
![]() |
Navratri ke pehle din Maa Shailputri ki sundar photo aur mantra. |
๐๐ป
Introduction:
Dosto, Navratri ka paavan tyohar aate hi hamare gharon mein ek alag hi rounak aur positivity aa jaati hai. In 9 dino mein hum Maa Durga ke alag-alag 9 roopo ki pooja karte hain. Lekin kya aap jaante hain ki Navratri ki shuruat kis devi ki pooja se hoti hai?
Navratri ka sabse pehla aur sabse mahatvapurna din samarpit hota hai Maa Shailputri ko. Maa Shailputri ko sthirta, dhairya (patience) aur nayi shuruat ki devi mana jata hai.
Agar aap bhi is saal Navratri par Maa Shailputri ki pooja karne ja rahe hain aur unki kahani, pooja vidhi aur mantra ke baare mein bilkul aasan bhasha mein sab kuch jaanna chahte hain, toh aap bilkul sahi jagah aaye hain. Aaj ke is article mein hum aapko Maa Shailputri se judi har choti-badi jaankari denge, taaki aapki pooja poori tarah safal ho sake. to chaliye shuru karte hain ๐๐ป
Navratri Day 1: Maa Shailputri Katha, Puja Vidhi, Mantra Aur Aarti
Navratri ka pehla din Maa Shailputri ka hota hai. Pehle inke naam ka matlab samajhte hain. 'Shail' ka matlab hota hai pahad (mountain), aur 'Putri' ka matlab hota hai beti. Kyunki inhone Parvatraj Himalaya ke ghar beti ke roop mein janm liya tha, isiliye inka naam Shailputri pada. Yeh Navdurga ki sabse pehli devi hain.
Jaisa ki aapne photo mein dekha, Maa ka roop dekhne mein behad shant aur pyara lagta hai. Unke chehre par ek alag hi chamak hai. Maa ek safed rang ke bail (bull) par baithi hui hain, jise hum Nandi bhi kehte hain. Unke daayein (right) haath mein ek trishool hai, jo buraiyon ko khatam karne ke liye hai, aur baayein (left) haath mein ek sundar sa kamal ka phool hai, jo shanti ka prateek hai.
Maa Shailputri Ki Poori Kahani
Maa Shailputri ki kahani behad seekh dene wali hai. Apne pichle janm mein yeh devi Sati ke naam se jani jaati thi, aur inke pita ka naam Raja Daksh tha. Sati ki shaadi Bhagwan Shiv se hui thi. Raja Daksh Bhagwan Shiv ko bilkul pasand nahi karte the.
Ek baar Raja Daksh ne apne mahal mein ek bahut bade havan ka aayojan kiya. Inhone sabhi devi-devtaon ko bulaya, lekin apne damad Bhagwan Shiv aur apni beti Sati ko nahi bulaya. Sati ko jab yeh pata chala toh unhone socha ki pita ka ghar hai, wahan jaane ke liye bulave ki kya zaroorat? Bhagwan Shiv ne unhe samjhaya ki bina bulaye jaana sahi nahi hai, par Sati nahi maani aur chali gayi.
Raja Daksh ke mahal pahunchkar Sati ne dekha ki koi bhi unse seedhe muh baat nahi kar raha tha aur sabhi unka aur unke pati Shiv ji ka mazak uda rahe the. Pita Daksh ne toh sabke saamne Bhagwan Shiv ka bohot apmaan kiya. Apne pati ka yeh apmaan Mata Sati bardaasht nahi kar payin. Unhe itna dukh aur gussa aaya ki unhone usi havan ki pavitra agni (aag) mein koodkar apne shareer ko khatam kar diya aur apne praan tyag diye.
Jab Bhagwan Shiv ko yeh baat pata chali, toh ve bohot gusse mein aa gaye aur unhone Daksh ka poora havan nasht kar diya. Iske baad, Mata Sati ne agle janm mein Parvatraj Himalaya ke ghar janm liya aur unka naam pada Shailputri. Inhe hi hum Maa Parvati ke naam se bhi jaante hain. Inhone dubara kathin tapasya ki aur Bhagwan Shiv ko pati ke roop mein paaya.
Navratri Ke Pehle Din Ki Puja Vidhi
Ghar ki Safai aur Snaan: Subah jaldi uthkar poore ghar ko saaf karein. Khud naha kar saaf-suthre kapde pehnein. Pehle din peela (yellow) ya safed (white) rang ka kapda pehnna bohot achha mana jata hai.
Puja ki Chauki: Puja ghar mein ek lakdi ki chauki rakhein, us par lal ya peela kapda bichaayein aur Maa Durga ya Maa Shailputri ki photo sthapit karein.
Kalash Sthapana: Ek mitti ke bartan mein saaf mitti daalkar usme jau (barley) ke beej bo dein. Uske paas ek tambe ya mitti ka kalash rakhein. Kalash mein jal, thoda gangajal, supari, ek sikka aur aam ke patte daalein. Kalash ke upar ek nariyal ko lal kapde ya kalave (dhage) mein lapet kar rakh dein.
Mata ka Shringar: Maa ko roli, kumkum, aur chandan ka tilak lagayein. Unhe safed rang ke phool bohot pasand hain, isiliye safed phool ya gulab chadhayein. Dhoop aur ghee ka diya jalayein.
Bhog (Prasad): Maa Shailputri ko gaay ka shuddh ghee bohot priya hai. Aap unhe ghee ka bhog laga sakte hain, ya fir ghee se bani mithaai, mawa ke laddu ya doodh ki kheer ka bhog laga sakte hain. Aisa karne se ghar ke log beemar nahi hote aur sabka swasthya achha rehta hai.
Maa Shailputri Ke Mantra
Mata ki puja karte waqt aapko unke mantra ka jaap karna chahiye. Agar bade mantra padhne mein dikkat ho, toh aap niche diya gaya sabse aasan mantra padh sakte hain:
"เฅ เคฆेเคตी เคถैเคฒเคชुเคค्เคฐ्เคฏै เคจเคฎः॥"
Aap is mantra ko haath jodkar 11, 21 ya 108 baar bol sakte hain.
Mata Ki Stuti:
"เคฏा เคฆेเคตी เคธเคฐ्เคตเคญूเคคेเคทु เคฎां เคถैเคฒเคชुเคค्เคฐी เคฐूเคชेเคฃ เคธंเคธ्เคฅिเคคा। เคจเคฎเคธ्เคคเคธ्เคฏै เคจเคฎเคธ्เคคเคธ्เคฏै เคจเคฎเคธ्เคคเคธ्เคฏै เคจเคฎो เคจเคฎः॥"
Iska matlab hai ki jo devi sabhi jeevon mein Maa Shailputri ke roop mein basi hain, unhe mera baar-baar pranam hai.
Maa Shailputri Ki Aarti
Puja ke aakhiri mein aap sabhi log milkar yeh aarti ga sakte hain:
เคถैเคฒเคชुเคค्เคฐी เคฎां เคฌैเคฒ เคธเคตाเคฐ। เคเคฐें เคฆेเคตเคคा เคเคฏ เคเคฏเคाเคฐ॥
เคถिเคต เคถंเคเคฐ ki priy bhavani। teri mahima kisi ne na jaani॥
Parvati tu uma kehlaye। jo tujhe simre so sukh paaye॥
Riddhi-siddhi pradan kare tu। daya kare dhanwan kare tu॥
Somwar ko shiv sang pyari। aarti teri jisne utaari॥
Uski sagri aas puja do। sagre dukh takleef mita do॥
Ghee ka sundar deep jala ke। gola gari ka bhog laga ke॥
Shraddha bhaav se mantra gaayein। prem sahit phir sheesh jhukaayein॥
Maa Shailputri Ki Puja Karne Ke Fayde
Maa Shailputri ki puja karne se hamare andar ek naye din aur naye kaam ki shuruat karne ki taqat aati hai. Jaise pahad hamesha ek jagah mazbooti se khada rehta hai, chahe kitna bhi toofan aaye, waise hi Maa Shailputri ki puja karne se insaan ka mann bhatakta nahi hai aur uske andar sthirta aur dhairya (patience) aata hai. Jo log bohot jaldi pareshan ya nirash ho jaate hain, unhe Maa Shailputri ki pooja zaroor karni chahiye. Inki kripa har kaam mein kamyabi milti hai.
![]() |
Navratri Day 1
Aakiri shabad ✨
Conclusion:
Toh dosto, yeh thi Navratri ke pehle din ki devi Maa Shailputri se judi poori jaankari. Maa Shailputri hamare jeevan mein sthirta aur sachhi bhakti lekar aati hain. Agar hum pehle din sachhe mann se unki pooja karte hain, toh aage ke baaki din bhi bohot shubh aur energy se bhare rehte hain. Ummeed hai ki aapko Maa Shailputri ki yeh kahani aur pooja vidhi bohot aasan shabdon mein samajh aa gayi hogi. Aap sabhi ko Navratri ke pehle din ki bohot-bohot shubhkaamnaayein! Maa Shailputri aap sabhi ki manokaamnaayein poori karein.
๐๐ป
Anuke ๐ ✨


Comments
Post a Comment